Sunday, January 25, 2009

nam ankhen


aj ankhen nam hai
kutch tu gham hai

dil mein chupa hua
ankhon mein jhalakta hua

ro nahin saktein hai hum
par kar tu saktein hai ankhen nam

zindagi jeena chahte the hum
sab kutch jeet lena chahte the hum
na socha tha takdeer kya hogi
na socha tha kaisa hoga tasavvur hamara

Dekhte-2 humari duniya palat gayi
ek hi pal mein humari zindagi badal gayi

Na jeene ki qwahish hai
na maut ka hai asra
ab hum kya karien
mere khuda tu hi bata

4 comments:

Adisha said...

aankhon me nami ke sath dil me sawan behta hai, duniya me gamon ke sath ek ujiyara rehta hai, thaan lo agar jina hai har pal toh, tufaan me bhi door ek kinara hamesha thehra rehta hai ...

Dreammy said...

Dobate ko tinke ka sahara hota hai,
kashti ko kinare ka asara hota hai.
Zindagi ho jis-se naraz,
use sirf maut ka hi sahara hota hai

Dreammy said...

...

Dreammy said...

Dobate ko tinke ka sahara tab milta hai, jab uske dil mein jeene ki umeed hoti hai.
Uska kaun bacheyega sajid, jiski ankhon mein humesha maut ki neend hoti hai....!!!!
(:)